Oct 31, 2009

Aaina..

Unke kamre me aaj bhi ek bada sa aaina hai,

WO aaj bhi khud ko aaine ki nazar se dekhte hain.

Dekhkar aaine me khud ko poochte honge usse,

Ki kya aur koi bhi jahan me mujh sa hasin hain?

Is ek sawal par haskar jor se kehta hoga aaina unse.

har hassin jane kyu apne aaine se yahi poocha karti hain.

Wo janti hain ki aur bhi kai haasin hai is shaher me,

Phir bhi kyun samjh khud ko hasin khud par hi marti hai.

Agar de sako to tumhi jawab iska dedo aaine ko Mangal,

Ki aakhir kyun har hasin sada aaina hi dekha karti hain....

No comments:

Post a Comment